Wednesday, June 6, 2012

heartless

1.
Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga
Mod pe jaake kuch der thaharta hoga

Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuchtoot ke to bikharta hoga
Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga
Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske siharta hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Wo bewafa is “maan” ko yaad karta hoga

2.
Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai


Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain


Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain


3.
Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman ko bhi hila degi


Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi


Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi


Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi


Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor
Jab meri yaad mein to tarpega par tab ’sabghat’ tujhe apni mohabbat na degi

5.
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,


Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,


Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,



6.
Paane se khone ka maza aur hai


Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal


aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai



7.
Paane se khone ka maza aur hai


Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal


aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai


8.
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain


Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri


Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain


9.
Daulat shohrat kya karni
Tere pyar ka sahara kafee hai
—-o—-
Yeh mehil atari nien chayien yeh
Mehil atari nien chayien
Tere dil ne utara kafee hein
Daulat Shohrat kya karni
—-o—-
Mere sanam mujhe teri kasam
Meri jaan bhi tho, iman bhi tu
Tere daam se hai mera daam
Jaan bhi tu, anjaan bhi tu
—-o—-
Paisa waisa kya karna mujhe
Paisa waisa kya karna
Mujhe tera nazara kafi hai
Daulat shohrat kya karni
—-o—-
Daulat sohrat kya kani
Tere pyar ka sahra kafee hai
—-o—-
Pyaar mohabbat se duniya mien
kuch bhar kar kohta heen nahin
—-o—-
Daulat jahin tho jahin koi
Pyar bina rohta bhi nahin
—-o—-
Esho musarat nahin chahyien mujhe
Esho musarat nahin chahyien
Tere naam ka sahara kafien hien

 
khusiyo se naraz hai meri zindagi
pyar ki mohtaz hai meri zindagi

has leti hui kabhi logon ko dekh kar
warna dard ki kitab hai meri zindagi Apni marzi se kahan apne safar se ham hain….
Rukh hawaon ka jidhar ka, udhar se ham hain…
Pehle har cheez thi apni, har log apne the…..
Ab apne hi dosto mein koi paraye se ham hain…..

short sayari

Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.

Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.

2.
lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi

jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi

3.
Kuch Deewane Aansu
Ishq ke daayre mein
Apna muqaam paa lete hain
Chahat ke kisson mein
Apni zindagi ka
Har hissa baha lete hain
Inhe hum kabhi
Jo mitaana chahein
Mohabbat mitne lagti hai
Inke Ehsaas Bina
Khushiyon ki aandhi mein
Wafayein bujhne lagti hain!!


4.
Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karunga..
Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein
Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!!


5.


ek bat puchta rhta

ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,

aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.

Har raat ko chaand ka sringar nahi milata
Har dali ko phooloN ka pyar nahi milata

.

Armaan bahut hoote hain iss dil meiN par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milata

.

KashtiyaN to bahut phirti hai lehroN meiN
par sabko ek sa majhi or patwar nahi milta

.

AshiyaN bikhar jate haiN halke jhokoN se
Har kisi ko toh atoot deewar nahi milata

.


Ye jeeavan khatooN se bhara ek gulab hai
yahaN har kisi ko sachaa yaar nahi milata
.
Humne bhi yehi soch kar sabr kar liya Goti
Ab Har kisi ko mukammal pyar nahi milata
.

Tuesday, June 5, 2012

watan


Jo bhi likhana kissa – e – aabaad likhna,
Dil kee Qalam se naya inqilaab likhana.
Dekh na paaye beshak hum aazadi magar
Par thi iss dil k ye tammanna betaab likhana
Kar diya hai aagaz, jo pahuche anzaam tak
To iss shahaadat pe kuch sawaab likhana
Joo chad gaye shulee par watan ki khatir
Nazmo mein zara unka bhi hisaab likhana
Par jab bhi likhana aye watan – e – hind
Mujhko ek parinda “Aazaad” likhana..!!
Shabdo ko tarash ke ghazal bana diya karte hai
hum chak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hai

zara nazare bache ke chalna humse, hum woh hai
jo pehali nazar me hi dil chura liya karte hai

jinko berang kehati hai yeh duniya,hum to unhi
rango me rang mila tasveer bana diya karte hai

jin sharab ke paimano ko bewafa naam dete hai log
usi paimane me hum mohabbat mila piya karte hai

darate nahi hum inn sitamgaro se, hum woh hai
jo Subah-shaam ibaadat-e-khuda kiya karte hai

Shayar hai jara hat ke janab  goti , ye to chand
lafzo ko mila ke hi geet bana liya karte hai
———————————
है खेल अज़ाब यह ज़िंदगी
हू एक हसीं खुवाब थी
एक पहेली है यह ज़िंदगी
क्या व्हो एक बेवफा थी

सहेली थी व्हो मोहब्बत की
उसकी मोहब्बत बेवफा थी
दोष था किसी और का
हुई मीठी खाख व्हो परी

आजा समेट लूँ बाहों में
मेरी ज़िंदगी की है तू हँसी
अश्कों से मिटा दे वोह यादें
वो दर्द की महकती काली

इस दिल की है सरताज तू
बिन तेरे फिरू मैं गली गली
बेवफा एक बार मुस्कुरा दे
लगे तेरे दिल में कभी तो मैं थी

ए बेवफा!
तू याद रख
यही दीवानगी
थी कल तक
तू झुठला रही है
मैं जाता रही हूँ
नाराज़गी है
मुझमे भी
कैसे भूलून
तेरे मीठे वादे
मोहब्बत के
वो इरादे
मैं खफा हूँ
तन्हा हूँ
मैं ज़िंदा हूँ
तू हर लम्हा
झुठला, ए बेवफा!

Khani likh di

Chhote seh kagaz par apNi kahaNi likh di

Do pal meiN maiNe puri ZinndgaNi likh di

Karte huyee baateeN ek pedh ke neeche..

Naam uske humNe kai shaam suhani likh di


Wada kiya umar ka har padav sath RahNeka

Isliye naam uske Mausham-e-jawani likh di


Likh sath ek-duje ka naam dur manzaroN me

pathharoN k dilOn me ankahi nisaani likh di


Haule-Haule dub nasha-e-mohabbat meiN Goti

Kaise aaj unki kahani muh jabaani likha di

Khayal Unka kyu? iss diL se jata nahi
Bina Unke bhi diL ko Chain aata nahi

Har raat milata hai wo aa sapno mein
Par dil kyu? unhe paa kar bhi pata nahi

Ajab sii kash’m-kash mein hun pada
Aakhir kyu? wo mujhe apana banata nahi

Hum to kabse lutane ko hai taiyar baitahe
Ek wo Kambkhat !, diL Churane aata nahi

Aye khuda ! kar ab to mujhpe rehmat ata
chand khushiya goti k kyu? samet lata nahi

Zindgi-


Meri muskan aj fir un logo ke naam..
...Jo har pal bas zinda rehte hai..


Jinhe sukh ki na ho koi asha ..
...Dukh ki shikanjo me khoye har pal bas zinda rehte hai..


Khushi ki har lamha jinhone zindegi ke daman me chhupaye ..
...Pal ke parindo ki saath har pal jo bas zinda rehte hai..


Ziddi hai asman kabhi dil ne use chhuna chaha ..
...Neela sagar mai kabhi bhatakti yeh ankhe kho gaya ..
...Phir bhi zindegi ki khatir zindegi ko lapete jo bas zinda rehte hai ..


Na sun paya koi yeh ankahee fariaad ..
..Na samjhha koi yeh dil ki daastan ..
..Zindegi ne unhe har morr par chhora ..
...Phir bhi itni dard lekar zinda rehne ki umheed mai kyu yeh log bas zinda rehte hai..

Monday, June 4, 2012

maa poems


labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

2.


Besan ki sondhi roti par Khatti chatni jaisi maa
Yaad aati hai chauka baasan Chimta phoonkni jaisi maa

Baans ki khurri khat ke oopar Har aahat par kaan dhare
Aadhi soi aadhi jaagi Thaki dopahari jaisi maa

Chidiyon ke chahkar mein gunje Raadha mohan ali ali
Murge ki aawaz se khulti Ghar ki kundi jaisi maa

Biwi, beti, behan, padosan Thodi thodi si sab mein
Din bhar ik rassi ke oopar Chalti natni jaisi maa

Baant ke apna chehra maatha, Aankhen jaane kahan gai
Phate puraane ik album mein Chanchal ladaki jaisi maa

3.
Main roya parades mein bhiga maa ka pyaar
Dukh ne dukh se baat ki bin chitthi bin taar
Chota karke dekhiye jiwan ka vistaar
Aankhon bhar aakash hai baahon bhar sansaar

Leke tan ke naap ko ghoome basti gaanv
Har chaadar ke gher se baahar nikle paanv
Sabki pooja ek si alag alag har reet
Masjid jaaye maulvi koyal gaaye geet
Pooja ghar mein moorti mira ke sang shyaam
Jiski jitni chaakri utne uske daam

Saaton din bhagawaan ke kya mangal kya pir
Jis din soye der tak bhookha rahe fakir
Achhi sangat baitha kar sangi badle roop
Jaise milkar aam se meethi ho gai dhoop

Sapna jharna neend ka jaagi aankhein pyaas
Pana khona khojna saanson ka itihaas
Chaahe geeta vaachiye ya padhiye quraan
Mera tera pyaar hi har pustak ka Gyaan