Wednesday, June 6, 2012

heartless

1.
Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga
Mod pe jaake kuch der thaharta hoga

Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuchtoot ke to bikharta hoga
Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga
Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske siharta hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Wo bewafa is “maan” ko yaad karta hoga

2.
Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai


Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain


Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain


3.
Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman ko bhi hila degi


Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi


Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi


Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi


Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor
Jab meri yaad mein to tarpega par tab ’sabghat’ tujhe apni mohabbat na degi

5.
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,


Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,


Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,



6.
Paane se khone ka maza aur hai


Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal


aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai



7.
Paane se khone ka maza aur hai


Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal


aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai


8.
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain


Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri


Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain


9.
Daulat shohrat kya karni
Tere pyar ka sahara kafee hai
—-o—-
Yeh mehil atari nien chayien yeh
Mehil atari nien chayien
Tere dil ne utara kafee hein
Daulat Shohrat kya karni
—-o—-
Mere sanam mujhe teri kasam
Meri jaan bhi tho, iman bhi tu
Tere daam se hai mera daam
Jaan bhi tu, anjaan bhi tu
—-o—-
Paisa waisa kya karna mujhe
Paisa waisa kya karna
Mujhe tera nazara kafi hai
Daulat shohrat kya karni
—-o—-
Daulat sohrat kya kani
Tere pyar ka sahra kafee hai
—-o—-
Pyaar mohabbat se duniya mien
kuch bhar kar kohta heen nahin
—-o—-
Daulat jahin tho jahin koi
Pyar bina rohta bhi nahin
—-o—-
Esho musarat nahin chahyien mujhe
Esho musarat nahin chahyien
Tere naam ka sahara kafien hien

 

No comments:

Post a Comment