Monday, June 4, 2012

maa poems


labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

2.


Besan ki sondhi roti par Khatti chatni jaisi maa
Yaad aati hai chauka baasan Chimta phoonkni jaisi maa

Baans ki khurri khat ke oopar Har aahat par kaan dhare
Aadhi soi aadhi jaagi Thaki dopahari jaisi maa

Chidiyon ke chahkar mein gunje Raadha mohan ali ali
Murge ki aawaz se khulti Ghar ki kundi jaisi maa

Biwi, beti, behan, padosan Thodi thodi si sab mein
Din bhar ik rassi ke oopar Chalti natni jaisi maa

Baant ke apna chehra maatha, Aankhen jaane kahan gai
Phate puraane ik album mein Chanchal ladaki jaisi maa

3.
Main roya parades mein bhiga maa ka pyaar
Dukh ne dukh se baat ki bin chitthi bin taar
Chota karke dekhiye jiwan ka vistaar
Aankhon bhar aakash hai baahon bhar sansaar

Leke tan ke naap ko ghoome basti gaanv
Har chaadar ke gher se baahar nikle paanv
Sabki pooja ek si alag alag har reet
Masjid jaaye maulvi koyal gaaye geet
Pooja ghar mein moorti mira ke sang shyaam
Jiski jitni chaakri utne uske daam

Saaton din bhagawaan ke kya mangal kya pir
Jis din soye der tak bhookha rahe fakir
Achhi sangat baitha kar sangi badle roop
Jaise milkar aam se meethi ho gai dhoop

Sapna jharna neend ka jaagi aankhein pyaas
Pana khona khojna saanson ka itihaas
Chaahe geeta vaachiye ya padhiye quraan
Mera tera pyaar hi har pustak ka Gyaan

No comments:

Post a Comment